Shayari
ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hogaa
nai ruton mein darakhton kaa baar kam hogaa
hamaari muskuraahaT par na jaanaa
diyaa to qabr par bhi jal rahaa hai
ہماری مسکراہٹ پر نہ جانا
دیا تو قبر پر بھی جل رہا ہے
हमारी मुस्कुराहट पर न जाना
दिया तो क़ब्र पर भी जल रहा है

ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hogaa
nai ruton mein darakhton kaa baar kam hogaa
aaj zaraa si der ko apne andar jhaank kar dekhaa thaa
aaj miraa aur ik vahshi kaa saath rahaa pal do pal kaa
utaaraa dil ke varaq par to kitnaa pachhtaayaa
vo intisaab jo pahle bas ik kitaab pe thaa
gahri sochein lambe din aur chhoTi raatein
vaqt se pahle dhuup saron pe aa pahunchi
hazaaron qumqumon se jagmagaataa hai ye ghar lekin
jo man mein jhaank ke dekhun to ab bhi raushni kam hai
tumhaare naam ke niche khinchi hui hai lakir
kitaab-e-zist hai saada is indiraaj ke baad
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham