Shayari
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
mujhe ayyaariyaan sab aa gai hain
main ab tere nagar kaa ho gayaa huun
مجھے عیاریاں سب آ گئی ہیں
میں اب تیرے نگر کا ہو گیا ہوں
मुझे अय्यारियाँ सब आ गई हैं
मैं अब तेरे नगर का हो गया हूँ

zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
dukh pe mere ro rahaa thaa jo bahut
jaate jaate kah gayaa achchhaa huaa
'aazim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiyaa
kuchh khel lakiron kaa bhi hai kuchh vaqt ki kaar-guzaari bhi
baat chal niklegi phir iqraar ki inkaar ki
phir vahi bachpan ke bhule giit gaae jaaeinge
sabr ki takraar thi josh o junun-e-ishq se
zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhaataa rahaa
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kis qadar teri duaaon mein asar thaa ai dost
ho gayaa huun main sehat-yaab davaa se pahle
meri havas ke andarun mahrumiyaan hain dost
vaamaanda-e-bahaar huun ghaTiyaa kahe so huun
yaa ilaahi mujh ko ye kyaa ho gayaa
dosti kaa teri saudaa ho gayaa
ghar ke andar itne ghar hain is ko kaise toDun main
yaar kabutar rahte hain is ghar ke raushan-daanon mein
tum bhi karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhi kareinge sabr magar ikhtiyaar tak