Shayari
ik qayaamat hai aap kaa vaada
chaliye ye bhi azaab ho jaae
himmat-e-tark-e-vafaa Duub gai
kis ne aankhon mein utaaraa dariyaa

ik qayaamat hai aap kaa vaada
chaliye ye bhi azaab ho jaae
kyaa yahaan dekhiye kyaa vahaan dekhiye
aap hi aap hain ab jahaan dekhiye
khuun jab ashk mein Dhaltaa hai ghazal hoti hai
jab bhi dil rang badaltaa hai ghazal hoti hai
dard kaa silsila hai jahaan tak
dil ki jaagir hogi vahaan tak
teri yaadon ke lamhe bhi bedard the
tujh ko mujh se churaate rahe raat-bhar
lutf-e-sohbat mataa-e-ulfat hai
kuchh kaho aur kuchh suno pyaare
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane kaa hausla hai mujhe
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai
ki jis se pyaar karein us pe tohmatein bhi dharein
jazba-e-be-ikhtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
sina-e-shamshir se baahar hai dam shamshir kaa
nisyah-o-naqd-e-do-aalam ki haqiqat maalum
le liyaa mujh se miri himmat-e-aali ne mujhe
har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaae