Shayari
na koi chhat hai na divaar hai na darvaaza
ye moajiza hai ki ham aise ghar mein rahte hain
unhin se taazgi-e-zehn hai nasib mujhe
gulaab chehre hamesha nazar mein rahte hain
انہیں سے تازگیٔ ذہن ہے نصیب مجھے
گلاب چہرے ہمیشہ نظر میں رہتے ہیں
उन्हीं से ताज़गी-ए-ज़ेहन है नसीब मुझे
गुलाब चेहरे हमेशा नज़र में रहते हैं

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand