Shayari
de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
khvaab taabir kar ke dekh sakein
raabta is qadar bahaal na thaa
خواب تعبیر کر کے دیکھ سکیں
رابطہ اس قدر بحال نہ تھا
ख़्वाब ता'बीर कर के देख सकें
राब्ता इस क़दर बहाल न था

de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
kahaan ke maahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parvardigaar kartaa hai
miraa dil TuuT jaane par miyaan hairat bhalaa kaisi
agar rasta badal jaae sitaare TuuT jaate hain
tu mujh se duur chali jaae ain mumkin hai
magar vo aks jo meri nazar mein rahtaa hai
judaa jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'
main zindagi mein vo daane piro nahin saktaa
aazaadiyon ke shauq o havas ne hamein 'adil'
ik ajnabi zamin kaa qaidi banaa diyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
tiri shokh aankhon mein baarhaa kai khvaab dekhe hain pyaar ke
tiraa pyaar meraa nasib hai kisi aur ko ye vafaa na de
khvaabon ki kirchiyaan miri muTThi mein bhar na jaae
aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jaae
raat aangan mein chaand utraa thaa
tum mile the ki khvaab dekhaa thaa
khvaabon ke ufuq par tiraa chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae khvaab sajaaun