Shayari
khushnumaa daaere bante hi chale jaate hain
dil ke taalaab mein pheinkaa hai ye kankar kis ne
A
Afsar Azriabhi chhiDe hi na the tazkire bahaaron ke
shuaa-e-husn se suljhe na the dimaagh abhi
ابھی چھڑے ہی نہ تھے تذکرے بہاروں کے
شعاع حسن سے سلجھے نہ تھے دماغ ابھی
अभी छिड़े ही न थे तज़्किरे बहारों के
शुआ-ए-हुस्न से सुलझे न थे दिमाग़ अभी
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein