Shayari
naa-rasaai ne ajab taur sikhaae hain 'ataa'
yaani bhule bhi nahin tum ko pukaaraa bhi nahin
ab yahaan kaun nikaalegaa bhalaa duudh ki nahr
ishq kartaa hai tu jaisaa bhi hai achchhaa hai miyaan
اب یہاں کون نکالے گا بھلا دودھ کی نہر
عشق کرتا ہے تو جیسا بھی ہے اچھا ہے میاں
अब यहाँ कौन निकालेगा भला दूध की नहर
इश्क़ करता है तू जैसा भी है अच्छा है मियाँ

naa-rasaai ne ajab taur sikhaae hain 'ataa'
yaani bhule bhi nahin tum ko pukaaraa bhi nahin
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniyaa
aur aise tark hui ek khud-kushi ham se
vaisaa hi kharaab shakhs huun main
jaisaa koi chhoD kar gayaa thaa
main teri ruuh mein utraa huaa milungaa tujhe
aur is tarah ki tujhe kuchh khabar nahin honi
hanste hanste ho gayaa barbaad main
khush-dili aisi bhi hoti hai bhalaa
aaj dekhaa hai use aisi mohabbat se 'ataa'
vo yahi bhuul gayaa us ko kahin jaanaa thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
makin-e-dil ko khaanumaa-kharaabiyon se ishq thaa
qayaam DhunDhtaa rahaa tumhaari chhat ke baa'd bhi
tamaam farq mohabbat mein ek baat ke hain
vo apni zaat kaa naiin hai ham us ki zaat ke hain
ye risaala ishq kaa hai adaq tire ghaur karne kaa hai sabaq
kabhi dekh is ko varaq varaq miraa siina gham ki kitaab hai