Shayari
kaun Dubegaa kise paar utarnaa hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyaa mein utar kar hogaa
jo reza reza nahin dil use nahin kahte
kahein na aaina us ko jo paara-paara nahin
جو ریزہ ریزہ نہیں دل اسے نہیں کہتے
کہیں نہ آئینہ اس کو جو پارہ پارہ نہیں
जो रेज़ा रेज़ा नहीं दिल उसे नहीं कहते
कहें न आईना उस को जो पारा-पारा नहीं

kaun Dubegaa kise paar utarnaa hai 'zafar'
faisla vaqt ke dariyaa mein utar kar hogaa
ang ang se rang rang ke phuul baraste dekhe kaun
rang rang se shole barse kaise barse soche kaun
un se meri baat na puchh
un se meri an-ban hai
main makin huun na makaan shahr-e-mohabbat kaa 'zafar'
dil musaafir na kisi ghair ke ghar jaaegaa
kyuun tirgi se is qadar maanus huun 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jali bhi hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aaj tujh yaad ne ai dilbar-e-shirin-harakaat
aah ko dil ke upar tesha-e-farhaad kiyaa
na ho kyuun shor dil ki baansuli mein
malaahat kaa salonaa kaan pahunchaa
chhal kapaT se ek raavan ki tarah
har kisi ke dil ko taDpaati to hai
kisi ke jaur-o-sitam kaa to ik bahaanaa thaa
hamaare dil ko bahar-haal TuuT jaanaa thaa