Shayari
abhi bahaar ne sikhi kahaan hai dil-jui
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain
kyaa karishma hai mire jazba-e-aazaadi kaa
thi jo divaar kabhi ab hai vo dar ki surat
کیا کرشمہ ہے مرے جذبۂ آزادی کا
تھی جو دیوار کبھی اب ہے وہ در کی صورت
क्या करिश्मा है मिरे जज़्बा-ए-आज़ादी का
थी जो दीवार कभी अब है वो दर की सूरत

abhi bahaar ne sikhi kahaan hai dil-jui
hazaar daagh abhi qalb-e-laala-zaar mein hain
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye daastaan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein tiri kyuun hain khaamosh ahl-e-zabaan aaj tak
dushmani ko buraa na kah ai dost
dekh kyaa dosti hai ghaur se dekh
ajiib bhul-bhulayyaan hai shaahraah-e-hayat
bhaTakne vaale yahaan justuju ki baat na kar
ik husn-e-mukammal hai to ik ishq-saraapaa
hoshyaar saa ik shakhs hai divaana saa ik shakhs
kuchh andhere hain abhi raah mein haail 'akhtar'
apni manzil pe nazar aaegaa insaan ik roz
aziiz gar thaa ta'alluq to kis liye toDaa
jab ikhtilaaf kiyaa to mufaahamat kaisi
ghurur-e-husn na kar jazba-e-zulekhaa dekh
kiyaa hai ishq ne yusuf ghulaam aashiq kaa
hamaari baat kaaTi jaa rahi hai
kisi kaa hausla baDhtaa rahaa hai
ise bhi 'zafar' meri himmat hi samjho
kahin ho na paayaa kahin ho gayaa huun
main aandhiyon ke paas talaash-e-sabaa mein huun
tum mujh se puchhte ho miraa hausla hai kyaa
kuchh kaTi himmat-e-savaal mein umr
kuchh umid-e-javaab mein guzri