Shayari
kisi ke raste pe kaise nazrein jamaae rakkhun
abhi to karnaa mujhe hai khud intizaar meraa
raston ke pech-o-kham ne kahin aur laa diyaa
jaanaa hamein jahaan thaa ye manzil nahin hai vo
رستوں کے پیچ و خم نے کہیں اور لا دیا
جانا ہمیں جہاں تھا یہ منزل نہیں ہے وہ
रस्तों के पेच-ओ-ख़म ने कहीं और ला दिया
जाना हमें जहाँ था ये मंज़िल नहीं है वो

kisi ke raste pe kaise nazrein jamaae rakkhun
abhi to karnaa mujhe hai khud intizaar meraa
tamaam rang adhure lage tire aage
so tujh ko lafz mein tasvir kartaa rahtaa huun
tahzib ki zanjir se uljhaa rahaa main bhi
tu bhi na baDhaa jism ke aadaab se aage
kisi ko DhunDte hain ham kisi ke paikar mein
kisi kaa chehra kisi se milaate rahte hain
ab kitni kaar-aamad jangal mein lag rahi hai
vo raushni jo ghar mein bekaar lag rahi thi
kabhi kabhi kitnaa nuqsaan uThaanaa paDtaa hai
airon ghairon kaa ehsaan uThaanaa paDtaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae