Shayari
milegaa zulf-e-aazaadi unhein kyaa mausam-e-gul mein
qafas se chhuT kar gulshan mein jo be-baal-o-par aae
vo un kaa vaada vo ifaa-e-ahd kaa aalam
ki yaad bhi nahin aataa hai bhultaa bhi nahin
وہ ان کا وعدہ وہ ایفائے عہد کا عالم
کہ یاد بھی نہیں آتا ہے بھولتا بھی نہیں
वो उन का व'अदा वो ईफ़ा-ए-अहद का आलम
कि याद भी नहीं आता है भूलता भी नहीं

mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
is zindagi mein itni faraaghat kise nasib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaaein ham
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai