Shayari
nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa
ashk-e-gham-e-ulfat mein ik raaz-e-nihaani hai
pi jaao to amrit hai bah jaae to paani hai
اشک غم الفت میں اک راز نہانی ہے
پی جاؤ تو امرت ہے بہہ جائے تو پانی ہے
अश्क-ए-ग़म-ए-उल्फ़त में इक राज़-ए-निहानी है
पी जाओ तो अमृत है बह जाए तो पानी है

nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa
tu ne pheri laakh narmi se nazar
dil ke aaine mein baal aa hi gayaa
rone vaale tujhe rone kaa saliqa hi nahin
ashk piine ke liye hain ki bahaane ke liye
shama ik mom ke paikar ke sivaa kuchh bhi na thi
aag jab tan mein lagaai hai to jaan aai hai
sar-e-mahshar yahi puchhungaa khudaa se pahle
tu ne rokaa bhi thaa bande ko khataa se pahle
vo kaun hain jinhein tauba ki mil gai fursat
hamein gunaah bhi karne ko zindagi kam hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
specialist pain-killer de to kaun saa?
''saare jahaan kaa dard hamaare jigar mein hai''
main nibal tanhaa na is duniyaa ki sohbat siin huaa
rustamon kuun kar diyaa hai naa-tavaan inzaal niin
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa