Shayari
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
ye kaun nikal aayaa yahaan sair-e-chaman ko
shaakhon se mahakte hue zevar nikal aae
یہ کون نکل آیا یہاں سیر چمن کو
شاخوں سے مہکتے ہوئے زیور نکل آئے
ये कौन निकल आया यहाँ सैर-ए-चमन को
शाख़ों से महकते हुए ज़ेवर निकल आए

kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr
vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum'
ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa
allaah ke ghar der hai andher nahin hai
tu yaas ke mausam mein bhi ummid kaa fan siikh
insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi
milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'
bahaar-e-ashk nai rut ki ibtidaa mein hai
hai eid kaa din aaj to lag jaao gale se
jaate ho kahaan jaan miri aa ke muqaabil
chaman ko aag lagaave hai baaghbaan har roz
nayaa banaaun huun main apnaa aashiyaan har roz