Shayari
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
kam-sini mein to hasin ahd-e-vafaa karte hain
bhuul jaate hain magar sab jo shabaab aataa hai
کم سنی میں تو حسیں عہد وفا کرتے ہیں
بھول جاتے ہیں مگر سب جو شباب آتا ہے
कम-सिनी में तो हसीं अहद-ए-वफ़ा करते हैं
भूल जाते हैं मगर सब जो शबाब आता है

jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai