Shayari
pheinkiye kyuun mai-e-naaqis saaqi
shaikh-saahib ki ziyaafat hi sahi
'anvar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudaa giraan na thaa
انورؔ نے بدلے جان کے لی جنس درد دل
اور اس پہ ناز یہ کہ یہ سودا گراں نہ تھا
'अनवर' ने बदले जान के ली जिंस-ए-दर्द-ए-दिल
और इस पे नाज़ ये कि ये सौदा गिराँ न था

pheinkiye kyuun mai-e-naaqis saaqi
shaikh-saahib ki ziyaafat hi sahi
na main samjhaa na aap aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
kuchh khabar hoti to main apni khabar kyuun rakhtaa
ye bhi ik be-khabari thi ki khabar-daar rahaa
sharm bhi ik tarah ki chori hai
vo badan ko churaae baiThe hain
miTTi kharaab hai tire kuche mein varna ham
ab tak to jis zamin pe rahe aasmaan rahe
surat chhupaaiye kisi surat-parast se
ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo
us but ke nahaane se huaa saaf ye paani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariyaa nazar aayaa