Shayari
zulmaton mein raushni ki justuju karte raho
zindagi bhar zindagi ki justuju karte raho
nigaah-o-dil se guzri daastaan tak baat jaa pahunchi
mire honTon se nikli aur kahaan tak baat jaa pahunchi
نگاہ و دل سے گزری داستاں تک بات جا پہنچی
مرے ہونٹوں سے نکلی اور کہاں تک بات جا پہنچی
निगाह-ओ-दिल से गुज़री दास्ताँ तक बात जा पहुँची
मिरे होंटों से निकली और कहाँ तक बात जा पहुँची

zulmaton mein raushni ki justuju karte raho
zindagi bhar zindagi ki justuju karte raho
uf vo maasum o hayaa-rez nigaahein jin par
qatl ke baad bhi ilzaam nahin aataa hai
main jo royaa un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
husn ki fitrat mein shaamil hai mohabbat kaa mizaaj
tamaam umr qafas mein guzaar di ham ne
khabar nahin ki nasheman ki zindagi kyaa hai
vaqt jab karvaTein badaltaa hai
fitna-e-hashr saath chaltaa hai
meri nigaah-e-fikr mein 'anvar'
ishq fasaana husn hai uryaan
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
khudaayaa jazba-e-dil ki magar taasir ulTi hai
ki jitnaa khinchtaa huun aur khinchtaa jaae hai mujh se
muskuraae vo haal-e-dil sun kar
aur goyaa javaab thaa hi nahin
kis DhiTaai se vo dil chhin ke kahte hain 'amir'
vo miraa ghar hai rahe jis mein mohabbat meri