Shayari
main bhi sach kahtaa huun is jurm mein duniyaa vaalo
mere haathon mein bhi ik zahr kaa piyaala de do
fitrat kaa ye sitam bhi hai 'daanish' ajiib chiiz
sar kaise kaise kaisi kulaahon mein rakh diye
فطرت کا یہ ستم بھی ہے دانشؔ عجیب چیز
سر کیسے کیسے کیسی کلاہوں میں رکھ دیئے
फ़ितरत का ये सितम भी है 'दानिश' अजीब चीज़
सर कैसे कैसे कैसी कुलाहों में रख दिए

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
qulzum-e-fikr mein hai kashti-e-imaan saalim
naa-khudaa husn hai aur ishq hai langar apnaa
jab bhi ye sochne lagtaa huun ki kaun apnaa hai
zehn mein aa ke kai naam nikal jaate hain
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniyaa ko sameTeinge kisi din