Shayari
huaa hai qarya-e-jaan mein ye saaneha kaisaa
mire vajud ke andar hai zalzala kaisaa
'armaan' bas ek lazzat-e-izhaar ke sivaa
miltaa hai kyaa khayaal ko lafzon mein Dhaal kar
ارماںؔ بس ایک لذت اظہار کے سوا
ملتا ہے کیا خیال کو لفظوں میں ڈھال کر
'अरमाँ' बस एक लज़्ज़त-ए-इज़हार के सिवा
मिलता है क्या ख़याल को लफ़्ज़ों में ढाल कर

huaa hai qarya-e-jaan mein ye saaneha kaisaa
mire vajud ke andar hai zalzala kaisaa
bachaa kyaa rah gayaa kaalak bhare jhulse makaanon mein
ujaaDi bastiyon ki be-nishaani kaa tamaashaa kar
ghuTan se bach ke kahin saans le nahin sakte
jahaan bhi jaaein ye kaalaa dhuaan to sar par hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai