Shayari
phisal kar rah gae hain naa-gahaan kele ke chhilke se
kamandein Daalne ghar se chale the chaand taaron par
yahi 'arshad' hamaare nau-javaanon ki kahaani hai
jiye daulat ki khaatir aur mare filmi-sitaaron par
یہی ارشدؔ ہمارے نوجوانوں کی کہانی ہے
جئے دولت کی خاطر اور مرے فلمی ستاروں پر
यही 'अरशद' हमारे नौ-जवानों की कहानी है
जिए दौलत की ख़ातिर और मरे फ़िल्मी-सितारों पर

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
shaagird-e-rashid aap saa huun shaikh-ji saahib
kuchh ilm o amal tum ne na shaitaan mein chhoDaa
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
gaaDi mein bhi ghar ko soche jaataa huun
gaaDi aage aur main pichhe jaataa huun
soch din raat yahi hai tire divaane ki
jaaiye shahr ko par chhoDiye sahraa kyunkar