Shayari
bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
letaa nahin kisi kaa pas-e-marg koi naam
duniyaa ko dekhnaa hai to duniyaa se jaa ke dekh
لیتا نہیں کسی کا پس مرگ کوئی نام
دنیا کو دیکھنا ہے تو دنیا سے جا کے دیکھ
लेता नहीं किसी का पस-ए-मर्ग कोई नाम
दुनिया को देखना है तो दुनिया से जा के देख

bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai
aate hain barg-o-baar darakhton ke jism par
tum bhi uThaao haath ki mausam duaa kaa hai
jise na meri udaasi kaa kuchh khayaal aayaa
main us ke husn pe ik roz khaak Daal aayaa
chaman vahi ki jahaan par labon ke phuul khilein
badan vahi ki jahaan raat ho gavaaraa bhi
mohabbatein bhi usi aadmi kaa hissa thiin
magar ye baat puraane zamaane vaali hai
meri rusvaai ke asbaab hain mere andar
aadmi huun so bahut khvaab hain mere andar
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
hove na azaab us pe kabhi jis ke pas-e-marg
chhaati pe ho taaviz tire naqsh-e-qadam kaa
manzil-e-marg ke aa pahunche hain nazdik ab to
kar madad ai nafas-e-baaz-pasin thoDi si
maut ne kar diyaa laachaar vagarna insaan
hai vo khud-bin ki khudaa kaa bhi na qaail hotaa