Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
hove na azaab us pe kabhi jis ke pas-e-marg
chhaati pe ho taaviz tire naqsh-e-qadam kaa
ہووے نہ عذاب اس پہ کبھی جس کے پس مرگ
چھاتی پہ ہو تعویذ ترے نقش قدم کا
होवे न अज़ाब उस पे कभी जिस के पस-ए-मर्ग
छाती पे हो तावीज़ तिरे नक़्श-ए-क़दम का

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
bikhar gayaa hai jo moti pirone vaalaa thaa
vo ho rahaa hai yahaan jo na hone vaalaa thaa
us ki aaankhon mein bhi kaajal phail rahaa hai
main bhi muD ke jaate jaate dekh rahaa huun
miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare
miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana
zindagi ik haadsa hai aur kaisaa haadsa
maut se bhi khatm jis kaa silsila hotaa nahin
maut kyaa ek lafz-e-be-maani
jis ko maaraa hayaat ne maaraa