Shayari
aise iqraar mein inkaar ke sau pahlu hain
vo to kahiye ki labon pe na tabassum aae
jab zaraa raat hui aur mah o anjum aae
baar-haa dil ne ye mahsus kiyaa tum aae
جب ذرا رات ہوئی اور مہ و انجم آئے
بارہا دل نے یہ محسوس کیا تم آئے
जब ज़रा रात हुई और मह ओ अंजुम आए
बार-हा दिल ने ये महसूस किया तुम आए

aise iqraar mein inkaar ke sau pahlu hain
vo to kahiye ki labon pe na tabassum aae
itnaa to bataa jaao khafaa hone se pahle
vo kyaa karein jo tum se khafaa ho nahin sakte
ai mauj-e-havaadis tujhe maalum nahin kyaa
ham ahl-e-mohabbat hain fanaa ho nahin sakte
na bazm apni na apnaa saaqi na shisha apnaa na jaam apnaa
agar yahi hai nizaam-e-hasti to zindagi ko salaam apnaa
haalaat ne kisi se judaa kar diyaa mujhe
ab zindagi se zindagi mahrum ho gai
ishq ko jab husn se nazrein milaanaa aa gayaa
khud-ba-khud ghabraa ke qadmon mein zamaana aa gayaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
nazar se duur hain dil se judaa na ham hain na tum
gila karein bhi to kyaa be-vafaa na ham hain na tum
paDaa na farq koi pairahan badal ke bhi
lahu lahu hi rahaa jam ke bhi pighal ke bhi
pahlaa patthar yaad hamesha rahtaa hai
dukh se dil aabaad hamesha rahtaa hai
ye dil ki baat hi munh se adaa nahin hoti
main kyaa kahun ki yahaan baar baar kyuun aayaa