Shayari
vo mere khvaab le ke sirhaane khaDaa rahaa
main so rahi thi us ne jagaayaa nahin mujhe
daryaaft kar liyaa hai basaayaa nahin mujhe
saamaan rakh diyaa hai sajaayaa nahin mujhe
دریافت کر لیا ہے بسایا نہیں مجھے
سامان رکھ دیا ہے سجایا نہیں مجھے
दरयाफ़्त कर लिया है बसाया नहीं मुझे
सामान रख दिया है सजाया नहीं मुझे

zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge