Shayari
honTon par ik baar sajaa kar apne honT
us ke baad na baatein karnaa so jaanaa
dev pari ke qisse sun kar
bhuke bachche so lete hain

honTon par ik baar sajaa kar apne honT
us ke baad na baatein karnaa so jaanaa
navaaztaa thaa hamesha vo gham ki daulat se
aur is khazaane se main maalaa maal ho hi gayaa
ghar hamaaraa phunk kar kal ik paDosi ai 'atiq'
do ghaDi to hans liyaa phir baad mein royaa bahut
main ne puchhaa ye bataa mujh se bichhaDne kaa tujhe
kuchh qalaq hotaa hai kyaa us ne kahaa thoDaa bahut
'atiq' bujhtaa bhi kaise charaagh-e-dil meraa
lagi thi us ki hifaazat mein saari raat havaa
bach jaae javaani mein jo duniyaa ki havaa se
hotaa hai farishta koi insaan nahin hotaa
ham tire shauq mein yuun khud ko ganvaa baiThe hain
jaise bachche kisi tyauhaar mein gum ho jaaein
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar lein
kisi rote hue bachche ko hansaayaa jaae
jugnu ko din ke vaqt parakhne ki zid karein
bachche hamaare ahd ke chaalaak ho gae
tez dhuup mein aai aisi lahar sardi ki
mom kaa har ik putlaa bach gayaa pighalne se
jab chali ThanDi havaa bachcha ThiThur kar rah gayaa
maan ne apne laal ki takhti jalaa di raat ko