Shayari
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shaam parinde lauT aae to ham tiri khoj mein chal nikle
phir jangal mein raat hui aur ghar kaa rasta bhuul gae
شام پرندے لوٹ آئے تو ہم تری کھوج میں چل نکلے
پھر جنگل میں رات ہوئی اور گھر کا رستہ بھول گئے
शाम परिंदे लौट आए तो हम तिरी खोज में चल निकले
फिर जंगल में रात हुई और घर का रस्ता भूल गए
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai