Shayari
ye apni bebasi hai yaa ki apni be-hisi yaaro
hai apnaa haath un ke saamne jo khud bhikaari hain
amn aur aashti se us ko kyaa
us kaa maqsad to intishaar mein hai
امن اور آشتی سے اس کو کیا
اس کا مقصد تو انتشار میں ہے
अम्न और आश्ती से उस को क्या
उस का मक़्सद तो इंतिशार में है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
chalaa jaaungaa jaise khud ko tanhaa chhoD kar 'alvi'
main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh letaa huun
gham bahut din muft ki khaataa rahaa
ab use dil se nikaalaa chaahiye
raat mili tanhaai mili aur jaam milaa
ghar se nikle to kyaa kyaa aaraam milaa