Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
tum mujhe chhoD ke jaaoge to mar jaaungaa
yuun karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
تم مجھے چھوڑ کے جاؤ گے تو مر جاؤں گا
یوں کرو جانے سے پہلے مجھے پاگل کر دو
तुम मुझे छोड़ के जाओगे तो मर जाऊँगा
यूँ करो जाने से पहले मुझे पागल कर दो

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
nae zakhm laati hai baad-e-sabaa
chaman mein har ik phuul bimaar hai
ungliyaan ghis gaiin yaan haathon ko malte malte
lekin afsos navishta na miTaa qismat kaa