Shayari
musibat sar pe munh baae khaDi hai
tujhe ai dil mohabbat ki paDi hai
pyaar se sarshaar karnaa pyaar se chhunaa mujhe
chaak-dil insaan Thahraa TuuTe pyaale ki tarah
پیار سے سرشار کرنا پیار سے چھونا مجھے
چاک دل انسان ٹھہرا ٹوٹے پیالے کی طرح
प्यार से सरशार करना प्यार से छूना मुझे
चाक-दिल इंसान ठहरा टूटे प्याले की तरह

musibat sar pe munh baae khaDi hai
tujhe ai dil mohabbat ki paDi hai
kaam ko imaan se anjaam detaa chal bashar
jaane kis surat mein teraa mehnataana aaegaa
tar-ba-tar ho kar rahein taa-zindagi
ai ghaTaa ik roz ham par yuun baras
ai mire dost ek muddat se
chaand dekhaa nahin teri chhat se
apni samjhe the magar nikli paraai zindagi
jaane kis miTTi ki thi qaabu na aai zindagi
mohabbat chaahiye to kar mohabbat
mohabbat dar mohabbat dar mohabbat
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kabhi ishq saaz-e-hayaat thaa kabhi soz-e-dil ne jalaa diyaa
kabhi vasl mein bhi kasak rahi kabhi dard-o-gham ne bhi mazaa diyaa
hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri
hamin ko saunpi gai gham ki paasbaani bhi
tere kahne se main ab laaun kahaan se naaseh
sabr jab is dil-e-muztar ko khudaa ne na diyaa
granth ik prem kaa paDhaa mujh ko
aur kitaabon kaa gyaan rahne de