Shayari
khvaab to khvaab hain pal bhar mein bikhar jaate hain
sach to ye hai ki bas ik kaahish-e-jaan raqs mein hai

Zahida Zaidi
Zahida Zaidi
khvaab to khvaab hain pal bhar mein bikhar jaate hain
sach to ye hai ki bas ik kaahish-e-jaan raqs mein hai
muD ke dekhaa to hamein chhoD ke jaati thi hayaat
ham ne jaanaa thaa koi bojh giraa hai sar se
zindagi tu ne to sach hai ki vafaa ham se na ki
ham magar khud tujhe Thukraaein zaruri to nahin
kabhi ishq saaz-e-hayaat thaa kabhi soz-e-dil ne jalaa diyaa
kabhi vasl mein bhi kasak rahi kabhi dard-o-gham ne bhi mazaa diyaa
hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri
hamin ko saunpi gai gham ki paasbaani bhi