Shayari
baat tak karni na aati thi tumhein
ye hamaare saamne ki baat hai
Dartaa huun dekh kar dil-e-be-aarzu ko main
sunsaan ghar ye kyuun na ho mehmaan to gayaa
ڈرتا ہوں دیکھ کر دل بے آرزو کو میں
سنسان گھر یہ کیوں نہ ہو مہمان تو گیا
डरता हूँ देख कर दिल-ए-बे-आरज़ू को मैं
सुनसान घर ये क्यूँ न हो मेहमान तो गया

baat tak karni na aati thi tumhein
ye hamaare saamne ki baat hai
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
chup-chaap sunti rahti hai pahron shab-e-firaaq
tasvir-e-yaar ko hai miri guftugu pasand
kahin hai iid ki shaadi kahin maatam hai maqtal mein
koi qaatil se miltaa hai koi bismil se miltaa hai
ruuh kis mast ki pyaasi gai mai-khaane se
mai uDi jaati hai saaqi tire paimaane se
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat phuul banne par lagi thi
palaT kar phir kali kar li hai main ne
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
ai soz-e-ishq-e-pinhaan ab qissa mukhtasar hai
iksir ho chalaa huun ik aanch ki kasar hai