Shayari
tu dekh rahaa hai jo miraa haal hai qaasid
mujh ko yahi kahnaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
koi dil-lagi dil lagaanaa nahin hai
qayaamat hai ye dil kaa aanaa nahin hai
کوئی دل لگی دل لگانا نہیں ہے
قیامت ہے یہ دل کا آنا نہیں ہے
कोई दिल-लगी दिल लगाना नहीं है
क़यामत है ये दिल का आना नहीं है

tu dekh rahaa hai jo miraa haal hai qaasid
mujh ko yahi kahnaa hai ki main kuchh nahin kahtaa
vafaa par daghaa sulh mein dushmani hai
bhalaai kaa hargiz zamaana nahin hai
dair o kaaba mein bhaTakte phir rahe hain raat din
DhunDhne se bhi to bandon ko khudaa miltaa nahin
nafs ko maar kar mile jannat
ye sazaa qaabil-e-qayaas nahin
uljhaa hi rahne do zulfon ko sanam
jo na khul jaaein bharam achchhe hain
maalum hai vaade ki haqiqat
bahlaa lete hain apne ji ko
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
dil ko apne kyaa kisi kaa ghar kahun
aaj khalvat-khaana kal baazaar hai