Shayari
rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
taa ki angur hare hon mire zakhm-e-dil ke
dhaani angiyaa mire dildaar ne rangvaai hai
تا کہ انگور ہرے ہوں مرے زخم دل کے
دھانی انگیا مرے دل دار نے رنگوائی ہے
ता कि अंगूर हरे हों मिरे ज़ख़्म-ए-दिल के
धानी अंगिया मिरे दिलदार ने रंगवाई है

rahne de zikr-e-kham-e-zulf-e-musalsal ko nadim
us ke to dhyaan se bhi hotaa hai dil ko uljhaao
jo chashm-e-dil-rubaa ke vasf mein ashaar likhtaa huun
to har har lafz par ahl-e-nazar ik saad karte hain
tum se ab kyaa kahein vo chiiz hai daagh-e-gham-e-ishq
ki chhupaae na chhupe aur dikhaae na bane
dam ghanimat hai saaliko meraa
jaras-e-daur ki sadaa huun main
ye chalan hain to tumhein hashr se deinge tashbih
log saffaak kaheinge baDi rusvaai hai
vafaa par daghaa sulh mein dushmani hai
bhalaai kaa hargiz zamaana nahin hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
yuun 'aabru' banaave dil mein hazaar baatein
jab ru-ba-ru ho tere guftaar bhuul jaave
dilli mein dard-e-dil kuun koi puchhtaa nahin
mujh kuun qasam hai khvaaja-qutub ke mazaar ki
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saari umr haath hilaate raheinge ham