Shayari
un mad-bhari aankhon ki taarif ho kyaa zaahid
dekho to hain do saaghar samjho to hain mai-khaana
D
Dua Dabaiviaap ke inkaar ne barpaa talaatum kar diyaa
aa gai thi kashti-e-ummid saahil ke qarib
آپ کے انکار نے برپا تلاطم کر دیا
آ گئی تھی کشتئ امید ساحل کے قریب
आप के इंकार ने बरपा तलातुम कर दिया
आ गई थी कश्ती-ए-उम्मीद साहिल के क़रीब
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge