Shayari
din kaTaa fariyaad se aur raat zaari se kaTi
umr kaTne ko kaTi par kitni khvaari se kaTi
D
Dulhan Begumjaa phansaa dil zulf mein ab soiye
shaam ke murde ko kab tak Dhoiye
جا پھنسا دل زلف میں اب سوئیے
شام کے مردہ کو کب تک ڈھویئے
जा फँसा दिल ज़ुल्फ़ में अब सोइए
शाम के मुर्दे को कब तक ढोईए
din kaTaa fariyaad se aur raat zaari se kaTi
umr kaTne ko kaTi par kitni khvaari se kaTi
itne kam-zarf nahin ham jo bahakte jaavein
misl-e-gul jaavein jidhar jaavein mahakte jaavein
mat karo fikr imaarat ki koi zer-e-falak
khaana-e-dil jo giraa hai use taamir karo
bahaa hai phuuT ke aankhon se aabla dil kaa
tari ki raah se jaataa hai qaafila dil kaa
bayaan main kis se karun jaa ke ab gila dil kaa
ye dil kaa dil hi mein hovegaa faisla dil kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kyaa kyaa rog lage hain dil ko kyaa kyaa un ke bhed
ham sab ko samjhaane vaale kaun hamein samjhaae
tu bhi jaise badal saa jaataa hai
aks-e-divaar ke badalte hi
kar na jurat tu ai tabib ki ye
dil kaa dhaDkaa hai ikhtilaaj nahin
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa