Shayari
natija ek saa niklaa dimaagh aur dil kaa
ki donon haar gae imtihaan mein duniyaa ke
uThaa rakhi hai kisi ne kamaan suraj ki
giraa rahaa hai mire raat din nishaane se
اٹھا رکھی ہے کسی نے کمان سورج کی
گرا رہا ہے مرے رات دن نشانے سے
उठा रखी है किसी ने कमान सूरज की
गिरा रहा है मिरे रात दिन निशाने से

natija ek saa niklaa dimaagh aur dil kaa
ki donon haar gae imtihaan mein duniyaa ke
main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT
tazaad samt kaa hai asp aur savaar ke biich
qismat ki kharaabi hai ki jaataa huun ghalat samt
paDtaa hai bayaabaan bayaabaan se aage
dhuup javaani kaa yaaraana apni jagah
thak jaataa hai jism to saaya maangtaa hai
ajiib shakhs thaa main bhi bhulaa nahin paayaa
kiyaa na us ne bhi inkaar yaad aane se
har mulaaqaat kaa anjaam judaai thaa agar
phir ye hangaama mulaaqaat se pahle kyaa thaa
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhi
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki