Shayari
usi taraf hai zamaana bhi aaj mahv-e-safar
'faraagh' main ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
na jaane kaisaa samundar hai ishq kaa jis mein
kisi ko dekhaa nahin Duub ke ubharte hue
نہ جانے کیسا سمندر ہے عشق کا جس میں
کسی کو دیکھا نہیں ڈوب کے ابھرتے ہوئے
न जाने कैसा समुंदर है इश्क़ का जिस में
किसी को देखा नहीं डूब के उभरते हुए

usi taraf hai zamaana bhi aaj mahv-e-safar
'faraagh' main ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
ham se tahzib kaa daaman nahin chhoDaa jaataa
dasht-e-vahshat mein bhi aadaab liye phirte hain
mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusraa chehraa nahin rakhtaa
khuub nibhegi ham donon mein mere jaisaa tu bhi hai
thoDaa jhuTaa main bhi Thahraa thoDaa jhuTaa tu bhi hai
kisi ne raah kaa patthar hamin ko Thahraayaa
ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre
yaaro hudud-e-gham se guzarne lagaa huun main
mujh ko sameT lo ki bikharne lagaa huun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baar-e-gham-e-jahaan bhi hai teraa khayaal bhi
hain kitni vusatein dil-e-aashufta-haal mein
rumuz-e-ishq ki gahraaiyaan salaamat hain
hamaare khvaab-e-pareshaan kisi ko kyaa maalum
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
hamein dekho hamaare paas baiTho ham se kuchh sikho
hamin ne pyaar maangaa thaa hamin ne daagh paae hain