Shayari
dil aisaa makaan hai jo agar TuuT gayaa to
lag jaaeingi sadiyaan nai taamir mein likh de
meraa har khvaab to bas khvaab hi jaisaa niklaa
kyaa kisi khvaab ki taabir bhi ho sakti hai
میرا ہر خواب تو بس خواب ہی جیسا نکلا
کیا کسی خواب کی تعبیر بھی ہو سکتی ہے
मेरा हर ख़्वाब तो बस ख़्वाब ही जैसा निकला
क्या किसी ख़्वाब की ताबीर भी हो सकती है

dil aisaa makaan hai jo agar TuuT gayaa to
lag jaaeingi sadiyaan nai taamir mein likh de
nahin hoti hai raah-e-ishq mein aasaan manzil
safar mein bhi to sadiyon ki masaafat chaahiye hai
tiraa didaar ho aankhein kisi bhi samt dekhein
so har chehre mein ab teri shabaahat chaahiye hai
milnaa hai agar khud se to phir der na karnaa
kho jaane kaa Dar hotaa hai taakhir mein likh de
DhunDeinge har ik chiiz mein jiine ki umangein
dil ki kisi khvaahish ko bhi maareinge nahin ham
ye kyuun kahte ho raah-e-ishq par chalnaa hai ham ko
kaho ki zindagi se ab faraaghat chaahiye hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
ye san kar meri nindein uD gai hain
koi meraa bhi sapnaa dekhtaa hai
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
ik yaqin-parvar gumaan aur ik hayaat-aamez khvaab
jaise koi aaegaa aur uljhanein le jaaegaa
par katar paai jab na khvaabon ke
band hi kar diin khiDkiyaan main ne