Shayari
jhuuT sach mein koi pahchaan kare bhi kaise
jo haqiqat kaa hi meyaar fasaana Thahraa
har ek lafz mein poshida ik alaao na rakh
hai dosti to takalluf kaa rakh-rakhaao na rakh
ہر ایک لفظ میں پوشیدہ اک الاؤ نہ رکھ
ہے دوستی تو تکلف کا رکھ رکھاؤ نہ رکھ
हर एक लफ़्ज़ में पोशीदा इक अलाव न रख
है दोस्ती तो तकल्लुफ़ का रख-रखाव न रख

jhuuT sach mein koi pahchaan kare bhi kaise
jo haqiqat kaa hi meyaar fasaana Thahraa
apne hi fan ki aag mein jalte rahe 'shamim'
honTon pe sab ke hausla-afzaai rah gai
dhuup chhuti hai badan ko jab 'shamim'
barf ke suraj pighal jaate hain kyuun
hisaar-e-zaat se kaT kar to ji nahin sakte
bhanvar ki zad se yuun mahfuz apni naav na rakh
vaqt ik mauj hai aataa hai guzar jaataa hai
Duub jaate hain jo lamhaat ubharte kab hain
hain raakh raakh magar aaj tak nahin bikhre
kaho havaa se hamaari misaal le aae
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
lamhaat-e-vasl yaad jo aae shab-e-firaaq
yak-lakht surkh ho gae aariz be-ikhtiyaar
kyaa jaaniye ki vasl tiraa kis ko ho nasib
ham to tire firaaq mein ai yaar mar gae
na kaho ye ki yaar jaataa hai
meraa sabr-o-qaraar jaataa hai