Shayari
aisaa lagtaa hai ki bujhne ki ghaDi aa pahunchi
lau charaaghon ki bahut tez hui jaati hai
F
Fasih Rabbanibaadbaan phaaD ke khush hon na havaaein itni
ham to haathon ko bhi patvaar banaa lete hain
بادباں پھاڑ کے خوش ہوں نہ ہوائیں اتنی
ہم تو ہاتھوں کو بھی پتوار بنا لیتے ہیں
बादबाँ फाड़ के ख़ुश हों न हवाएँ इतनी
हम तो हाथों को भी पतवार बना लेते हैं
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
tu kahaan rahti hai puchhaa thaa kisi ne ek din
main ghamon ke saath rahti huun khushi kahne lagi
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
tum se Takraae to huaa maa'lum
haadse khushnumaa bhi hote hain