Shayari
hazaaron saal ki thi aag mujh mein
ragaDne tak main ik patthar rahaa thaa
jo maraa hai haadse mein miraa us se kyaa thaa rishta
ye saDak jo khuun mein tar hai mujhe kyuun pukaarti hai
جو مرا ہے حادثے میں مرا اس سے کیا تھا رشتہ
یہ سڑک جو خوں میں تر ہے مجھے کیوں پکارتی ہے
जो मरा है हादसे में मिरा उस से क्या था रिश्ता
ये सड़क जो ख़ूँ में तर है मुझे क्यूँ पुकारती है

hazaaron saal ki thi aag mujh mein
ragaDne tak main ik patthar rahaa thaa
ishq kiyaa to apni hi naadaani thi
varna duniyaa jaan ki dushman kab hoti hai
kaise aataa hai dabe paanv gunaahon kaa khayaal
kitni khaamoshi se darvaaza khulaa thaa pahle
main ne dekhaa hai vo insaan tumhaare andar
raam ban jaaoge raavan to nahin ban sakte
kis anmol pashemaani ki daulat hai in aaankhon mein
palkon par do aansu jhamkein moti ke se daane do
achchhi-khaasi rusvaai kaa sabab hoti hai
dusri aurat pahli jaisi kab hoti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai