Shayari
ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
qaazi kaa na Dar hai na gham-e-mohtasib-e-shahr
hoshiyaar na ho koi taghaaful ke baraabar
قاضی کا نہ ڈر ہے نہ غم محتسب شہر
ہوشیار نہ ہو کوئی تغافل کے برابر
क़ाज़ी का न डर है न ग़म-ए-मोहतसिब-ए-शहर
होशियार न हो कोई तग़ाफ़ुल के बराबर

ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
hai ye purab ki zabaan-daani 'mehr'
kahte hain baat ko ham suntaa huun
kaabe mein ham ko dair kaa har dam khayaal thaa
allaah jaantaa hai buton kaa rahaa lihaaz
dar-ba-dar maaraa-phiraa main justuju-e-yaar mein
zaahid-e-kaaba huaa rahbaan-e-but-khaana huaa
ye hind hai ai 'mehr' yahaan puuj buton ko
kyuun barahman-e-dair-o-kalisaa nahin honaa
gul baang thi gulon ki hamaaraa taraana thaa
apnaa bhi is chaman mein kabhi aashiyaana thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mujhe khabar hai use aisaa dard hai 'zaahid'
jise davaa nahin rishvat sukun deti hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
divaar khasta-haal hai aur dar udaas hai
jab se koi gayaa hai miraa ghar udaas hai