Shayari
ik baDi jang laD rahaa huun main
hans ke tujh se bichhaD rahaa huun main
is shokhi-e-guftaar par aataa hai bahut pyaar
jab pyaar se kahte hain vo shaitaan kahin kaa
اس شوخئ گفتار پر آتا ہے بہت پیار
جب پیار سے کہتے ہیں وہ شیطان کہیں کا
इस शोख़ी-ए-गुफ़्तार पर आता है बहुत प्यार
जब प्यार से कहते हैं वो शैतान कहीं का

ik baDi jang laD rahaa huun main
hans ke tujh se bichhaD rahaa huun main
'raaghib' vo meri fikr mein khud ko bhi bhuul jaaein
aisi to koi baat nahin chaahtaa thaa main
ji chaahtaa hai jiinaa jazbaat ke mutaabiq
haalaat kar rahe hain haalaat ke mutaabiq
din mein aane lage hain khvaab mujhe
us ne bhejaa hai ik gulaab mujhe
le jaae jahaan chaahe havaa ham ko uDaa kar
TuuTe hue patton ki hikaayat hi alag hai
inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht