Shayari
ik baDi jang laD rahaa huun main
hans ke tujh se bichhaD rahaa huun main
raae us par mat karo qaaem koi
jaante jis ko nahin nazdik se
راے اس پر مت کرو قائم کوئی
جانتے جس کو نہیں نزدیک سے
राय उस पर मत करो क़ाएम कोई
जानते जिस को नहीं नज़दीक से

ik baDi jang laD rahaa huun main
hans ke tujh se bichhaD rahaa huun main
dil mein kuchh bhi to na rah jaaegaa
jab tiri chaah nikal jaaegi
chand yaadein hain chand sapne hain
apne hisse mein aur kyaa hai ji
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa
tum ne rasman mujhe salaam kiyaa
log kyaa kyaa gumaan kar baiThe
be-sabab 'raaghib' taDap uThtaa hai dil
dil ko samjhaanaa paDegaa Thiik se
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
aag to chaaron hi jaanib thi par achchhaa ye hai
hosh-mandi se kisi chiiz ko jalne na diyaa