Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali BahrkaanTon pe misl-e-qais kahaan tak ravaan-davaan
lailaa-e-jaan hai jism ki mahmil se dil uchaaT
کانٹوں پہ مثل قیس کہاں تک رواں دواں
لیلاۓ جاں ہے جسم کی محمل سے دل اچاٹ
काँटों पे मिस्ल-ए-क़ैस कहाँ तक रवाँ-दवाँ
लैला-ए-जाँ है जिस्म की महमिल से दिल उचाट
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryaan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gayaa
dil ki divaar gir gai shaayad
apni aavaaz kaan mein aai
dil ujDi hui ek saraae ki tarah hai
ab log yahaan raat jagaane nahin aate
ye miri bazm nahin hai lekin
dil lagaa hai to lagaa rahne do