Shayari
jis tarah log khasaare mein bahut sochte hain
aaj kal ham tire baare mein bahut sochte hain
dhyaan aayaa mujhe raat ki tanhaa-safari kaa
yak-dam koi saaya saa gali se nikal aayaa
دھیان آیا مجھے رات کی تنہا سفری کا
یک دم کوئی سایہ سا گلی سے نکل آیا
ध्यान आया मुझे रात की तन्हा-सफ़री का
यक-दम कोई साया सा गली से निकल आया

jis tarah log khasaare mein bahut sochte hain
aaj kal ham tire baare mein bahut sochte hain
tiri pahli diid ke saath hi vo fusun bhi thaa
tujhe dekh kar tujhe dekhnaa mujhe aa gayaa
ziyaan-e-dil hi is baazaar mein sud-e-mohabbat hai
yahaan hai faaeda khud ko agar nuqsaan mein rakh lein
bannaa thaa to bantaa na farishta na khudaa main
insaan hi bantaa miri takmil to ye thi
vo bhi ro ro ke bujhaa Daalaa hai ab aankhon ne
raushni detaa thaa jo ek diyaa andar se
miri khaak us ne bikher di sar-e-rah ghubaar banaa diyaa
main jab aa sakaa na shumaar mein mujhe be-shumaar banaa diyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khushi hi shart nahin lutf-e-zindagi ke liye
mataa-e-gham bhi zaruri hai aadmi ke liye
haan ye bhi tariqa achchhaa hai tum khvaab mein milte ho mujh se
aate bhi nahin gham-khaane tak vaada bhi vafaa ho jaataa hai