Shayari
aaine par koi tohmat na dharo
khaal-o-khad apne sanvaaro saahab
tum ne bahtaa dariyaa dekhaa aur main ne
paani par ik aks Thaharte dekhaa hai
تم نے بہتا دریا دیکھا اور میں نے
پانی پر اک عکس ٹھہرتے دیکھا ہے
तुम ने बहता दरिया देखा और मैं ने
पानी पर इक अक्स ठहरते देखा है

aaine par koi tohmat na dharo
khaal-o-khad apne sanvaaro saahab
bahut hairat-zada hai aaina bhi
ki chehre par koi chehra nahin hai
niind mat DhunD meri aankhon mein
silvaTein dekh mere bistar par
us ko matlab kaa jab milaa mausam
rang us ke the dekhne vaale
tu bhi dekhegaa zaraa rang utar lein tere
ham hi rakhte hain tujhe yaad ki sab rakhte hain
izhaar ki ye bhi surat thi
khaamoshi ko fariyaad kiyaa
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
jin safinon ne kabhi toDaa thaa maujon kaa ghurur
us jagah Duube jahaan dariyaa mein tughyaani na thi
agarche kahne ko kal kaaenaat apni thi
haqiqatan kahaan apni bhi zaat apni thi
ik nadi mein saikDon dariyaa ki tughyaani mili
Dubne vaale ko mar jaane ki aasaani mili
raabta kyuun rakhun main dariyaa se
pyaas bujhti hai meri sahraa se
pahaaD jaisi azmaton kaa daakhila thaa shahr mein
ki log aagahi kaa ishtihaar le ke chal diye