Shayari
khushbu si koi aae to lagtaa hai ki tum ho
shisha kahin Takraae to lagtaa hai ki tum ho
M
Masooda Hayatagarche kahne ko kal kaaenaat apni thi
haqiqatan kahaan apni bhi zaat apni thi
اگرچہ کہنے کو کل کائنات اپنی تھی
حقیقتاً کہاں اپنی بھی ذات اپنی تھی
अगरचे कहने को कल काएनात अपनी थी
हक़ीक़तन कहाँ अपनी भी ज़ात अपनी थी
khushbu si koi aae to lagtaa hai ki tum ho
shisha kahin Takraae to lagtaa hai ki tum ho
kyaa gharaz ham ko vahaan ab koi bhi aabaad ho
ham to us basti se ghar apnaa uThaa kar le gae
ghar se jo shakhs bhi nikle vo sambhal kar nikle
jaane kis moD pe kis haath mein khanjar nikle
kis se shikva karein viraani-e-hasti kaa 'hayaat'
ham ne khud apni tamannaaon ko jiine na diyaa
hazaar shauq numaayaan the jis nazar se kabhi
vahi nigaah baDi ajnabi si lagti hai
hazaar dard sameTe hue huun ik dil mein
bikhar gai jo miri daastaan to kyaa hogaa
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
farz hai dariyaa-dilon par khaaksaaron ki madad
farsh sahraa ke liye laazim huaa sailaab kaa
ratb-o-yaabis mein hai tasarruf-e-ishq
aankh dariyaa hai dil jazira hai
but nazar aaeinge maashuqon ki kasrat hogi
aaj but-khaana mein allaah ki qudrat hogi
shikva koi dariyaa ki ravaani se nahin hai
rishta hi miri pyaas kaa paani se nahin hai
yuun dard ne ummid ke laD se mujhe baandhaa
dariyaaon ko jis tarah kinaaraa kare koi