Shayari
main nahin miltaa kisi se
band phaaTak boltaa hai
I
Iqbal Khusro Qadrisarhad-e-jaan talak qalam-rau dil
is se aage nizaam dard kaa hai
سرحد جاں تلک قلمرو دل
اس سے آگے نظام درد کا ہے
सरहद-ए-जाँ तलक क़लम-रौ दिल
इस से आगे निज़ाम दर्द का है
main nahin miltaa kisi se
band phaaTak boltaa hai
jab saaya bhi shishe ki tarah TuuT gayaa
divaar ne dekhaa ye tamaasha na kabhi
band aankhon mein saaraa tamaasha dekh rahaa thaa
rasta rasta meraa rasta dekh rahaa thaa
rotaa hai koi kisi ke gham mein
sab apne hi dukh bichaarte hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi
muskuraataa huun magar dil dard se labrez hai
kafan ki qimat suneinge murde to is ke sadme se ji uTheinge
janaaza uTThegaa ab kisi kaa na ab kisi kaa mazaar hogaa