Shayari
vo zakhm chun ke mire khaar mujh mein chhoD gayaa
ki us ko shauq thaa be-intihaa gulaabon kaa
vo jis ne ashkon se haar nahin maani
kis khaamoshi se dariyaa mein Duub gai
وہ جس نے اشکوں سے ہار نہیں مانی
کس خاموشی سے دریا میں ڈوب گئی
वो जिस ने अश्कों से हार नहीं मानी
किस ख़ामोशी से दरिया में डूब गई

vo zakhm chun ke mire khaar mujh mein chhoD gayaa
ki us ko shauq thaa be-intihaa gulaabon kaa
kachchi umron mein bhi akeli rahi
main sadaa apni hi saheli rahi
yaa mujhe teri hatheli bujhe
yaa koi shokh saheli bujhe
bhuuk se yaa vabaa se marnaa hai
faisla aadmi ko karnaa hai
laDkiyaan maaon jaise muqaddar kyuun rakhti hain
tan sahraa aur aankh samundar kyuun rakhti hain
avval ahl-e-qabila ne parcham banaayaa use aur phir
pesh-e-dushman bhi taavaan mein sirf meri ridaa le gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa