Shayari
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
sakht vahshat si barasti hai shab-o-roz yahaan
ab to ghaughaa-e-sagaan tak mein asar koi nahin
سخت وحشت سی برستی ہے شب و روز یہاں
اب تو غوغائے سگاں تک میں اثر کوئی نہیں
सख़्त वहशत सी बरसती है शब-ओ-रोज़ यहाँ
अब तो ग़ौग़ा-ए-सगाँ तक में असर कोई नहीं
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
aaj bhi siine se aati hai tumhaari khushbu
tum ne ik baar jo siine se lagaayaa thaa mujhe
hijr mein ik maah ke aansu hamaare gir paDe
aasmaan TuuTaa shab-e-furqat sitaare gir paDe